Create New Playlist

Add a cover pic of your own choice

(Optional)

Name

AI Cover Generator

4 credits

Not enough credits (0/4).

Logout

Are you sure you want to Logout?

Close

Ghaazi Alamdar 1 by ABDUL

SongGPT
Ghaazi Alamdar 1 by ABDUL - Spiritual,both vocals music cover art

Ghaazi Alamdar 1

Spiritual,both vocals

0:003:55
Lyrics
Description
Dekha hi nahi humne koi tum sa wafadaar
Ya Ghaazi Alamdar Abbaas Alamdaar
Sibte Nabi ne tum ko kiya qaafla saalaar
Ya Ghaazi Alamdar Abbaas Alamdaar
Tu Aale Payambar hai teri shaan hai aali
Jaata hi nahi khaali koi dar se sawali
Hain hum bhi teri chashme inayat ke talabgaar
Ya Ghaazi Alamdaar Abbaas Alamdaar
Roshan hai bahut chaand ke jaisa tera chehra
Qamre Bani Hashim hai laqab isliye thehra
Aate hain nazar tujh mein humein Haidare Karraar
Ya Ghaazi Alamdaar Abbaas Alamdaar
Kya gardishe duniya ye bigaadegi hamara
Honto pe sada rehta hai Abbaas ka naara
Mushkil koi karti hi nahi humko giraftaar
Ya Ghaazi Alamdaar Abbaas Alamdaar
Tha naaz bahut Baali Sakina ko tumhi par
Zaalim ke sitam sahte hue kehti thi rokar
Ek baar madad karne ko aajao madadgaar
Ya Ghaazi Alamdaar Abbaas Alamdaar
Kya shaan bhala hum se bayan hogi tumhari
Nau lakh ke lashkar pe tane tanha the bhaari
Kaap uthte laein sunte hi aahat teri Jarraar
Ya Ghaazi Alamdaar Abbaas Alamdaar
Ye keh ke Ali ne tumhe Allah se manga
Beta mujhe ek aisa ata karna Khudaya
Ho jo mere Shabbeer ka Karbal mein wafadaar
Ya Ghaazi Alamdaar Abbaas Alamdaar
The Deen-e-Nabi ke liye mar mitne ko tayyar
Baazu bhi kate hoti rahi teeron ki bochhaar
Par tumne alam ko na diya jhukne Alamdaar
Ya Ghaazi Alamdaar Abbaas Alamdaar
Dil mein nahin Aqil ke koi aur tamanna
Jab tumne mujhe Ghaazi bana rakha hai apna
Ta umr rahoo Maula tumhara hi azadaar
Ya Ghaazi Alamdaar Abbaas Alamdaar